Wednesday, November 20, 2013

Dil sey jo baat nikalti hai suna deta hoon
Aadmiyat hai dukhi aur main dawa deta hoon

Garmiyoun mein kabhi roza jo na rakkha jaey
Ek roti kisi bhookey ko khila deta hoon

Mujh ko ilfas jo deney nahi deta hai zakat
Kisi rotey huey bachchey ko hansa deta hoon

Pul siraat aata hai jab merey kheyaloun mein kabhi
Kisi andhey ko sarak paar kara deta hoon

Kisis dargah pe chaddar maein charhaney ki jagah
Ek kurta kisi nangey ko pinha deta hoon

Har subah phhol mein chunta nahi pooja ke liye
Han sarak par sey woh kantey maein hata deta hoon

Ram ka naam maein japta tou nahin hoon lekin
Haan vachan koi diya ho to nibha deta hoon

Aadmiyat ke ye qadrein hi hain mera mazhab
Dharm sab ka ho yahi maein ye dua deta hoon